Ek Khayal Bar Bar Aaraha Hai Aaj,
Khayal Aaya Hai Apni Maut Ka Aaj,
Usse Judi Kuch Batein Batana Chahti Hu,
Jo Main Kuch Tumse Chahti Hu, Dil Se Chahti Hu,
Ye To Mujhe Yakeen Hai Aur Aitbaar Bhi,
K Tab Tum Mere Kareeb Hoge Mere Saath Bhi,
Jo Dur B Hue To Ye Saanse Tumhara Intazaar Karegi,
Tumhe Dekhe Bina Ye Jaa Nahi Nikal Payegi,
Shayad Tab Bhi Hamare Milne Par Zamane Ko Aitraaz Hoga,
Par Tum Zarur Aana Tumse Milne Ko Ye Dil Bekaraar Hoga,
Ye Na Sochna Jaan K Hume Koi Gam Hai Isliye Ye Kehte Hai,
Ye To Ek Khayal Hai Jo Tumhe Kehte Hai,
Wo Maut Bhi Haseen Hogi Gar Tu Mere Paas Hoga,
Aur Mere Haatho Me Tera Haath Hoga,
Shayad Hoto Se Na Kehpau,Par Aakhon Se Kahungi K Tumse Pyar Hai,
Wahi Pyar Tumhari Aanko Me Dekhungi K Tumhe B Mujhi Se Pyar Hai,
Wo Judaai Ka Gam Bhi Bahut Gehra Hoga,
Par Tumhe Milne Ka Sukh Usse Zyada Hoga,
Ye Jaa Khushi Se Muskurate Nikal Jaye,
Tum Sambhal Jao Hum Yu Tujhe Sabr De Jaye,
Duniya K Liye Humara Koi Khaas Rishta Nahi Hai,
Par Ye Rishta Kitna Gehra Hai Ye To Bas Humtum Jante Hai,
Isliye Main Chahti Hu K Tum Wo Har Rasm Nibhao Jo Tumhara Haq Hai,
Bas Aisi Hi Maut Mile Hame Yahi Chahti Hu Itna To Mujhe B Haq Hai.

By Rash