Nadiya Ke Kinaare, Ek Phool Nazar Aaya,
Sundar Tha Kitna, Aasmaan Se Rang Churaaya.
Lehraata Hua Kehta Woh Phool Kabhi Mujhse,
Tu Woh Pyari Yaaden Na Bhool, Kehta Woh Mujhse.
Kaise Maloom Tujhe, Mere Dil Main Kya Hai
Poocha Maine Usse, Woh Bola Mujhe Yaad Hai.
Ek Din Tha Haseen,
Pyar Ki Duniya Main The Hum Khoye,
Lagaaya Ek Phool Uske Seene Se Maine,
Lal Rang, Khusboo Dheemi Si Mehak Aayi.
Nazren Milaayi Kuch Pal Ke Liyain Humne,
Socha Yeh Kya Hua Humaare Dilon Main.
Deewane Milte Hain Jab, Hota Hai Kuch Aaisa,
Bola Woh Phool Mujhse, Tune Ishaara Diya Tha Aaisa.
Mat Suna Mujhe Pyar Ki Koi Reet,
Kahaa Maine Phool Se,
Tu Kya Jaane Meri Zindagi Ki Har Haar Aur Jeet.
Haar To Gayi Hai Tu, Usse Jaane Kyon Diya,
Tune Pyar Nibhaaya Hota
Aaj Yeh Sab Ho Na Jaata.
Nafrat Ho Gayi Us Phool Se Mujhe,
Zameen Se Ukhaad Kar Nikala Maine Usse.
Apni Aakhri Saason Main Bola Woh Mujhse,
Main To Chala Jaaonga Door Tujhse,
Magar Soch To Pagal, Kya Tu Bhool Paayegi Usse?
Na Murjhaayega Tera Pyar Meri Tarah,
Apni Yaadon Ko Na Phenk Paayegi Tu Is Tarah.
Maine Seene Se Lagaaya Us Phool Ko,
Royi Uske Ghum Main, Dard Diya Kitna Usko.
Nadiya Ke Kinaare, Ek Phool Nazar Aaya,
Sundar Tha Kitna, Aasmaan Se Rang Churaaya.
Lehraata Hua Kehta Woh Phool Kabhi Mujhse,
Tu Woh Pyari Yaaden Na Bhool, Kehta Woh Mujhse.