kabhii-kabhii yaad meN ubharte haiN naqsh-e-maazii miTe-miTe se

vo aazmaaiish dil-o-nazar kii, vo qurbateN sii, vo faasile se

kabhii-kabhii aarzuu ke sehraa meN aa ke rukte haiN qaafile se

vo saarii baateN lagaao kii sii, vo saare unvaaN visaal ke se

nigah-e-yaar ko qaraar kaisaa, nishaat-o-Gham meN kamii kahaaN kii

vo jab milte haiN to unse har baar kii hai ulfat naye sire se

bahut giraaN hai ye aish-e-tanhaa, kahiiN sabuktar, kahiiN gavaaraa

vo dard-e-pinhaaN ke saarii duniyaa rafiiq thii jiske vaaste se