Kabhii Waqt Miley To Parhna Un Tehreru Ko
Jin Mein Sirf Tera Hi Zikker Kerr Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Dekhna Us Raste Ko
Jahan Tera Intazar Kerety, Akeley Reh Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Bheegna Us Barish Mein
Jahan Ashkoo Key Sub Qatery Jama Ker Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Durr Safar Ker Jana
Shayd Tujh Ko Kahin Nazar A Jaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Yaadein Sameth Lena
Key In Mein Hi Bikher Ker Reh Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Chalna Geeli Reit Per
Shayad Kahin Tere Qadmo Sey Lipat Jaye Hum
Kabhi Waqt Miley To Dekhna Andherey Ko
Keh Is Mein Hi Kahin Kho Ker Reh Gaye Hum
Kabhi Waqt Miley To Sunnaa Hawaoon Ko
Tere Liye Is Mein Sar Goshi Ker Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Mehsoos Kerna Apni Khushbo Ko
Jiss Mein Bheeg Ker Muatar Ho Gaye Hum
Kabhii Waqt Miley To Milna Kissi Phool Sey
Saath Lagey Katoon Mein Uljhey Ho Gey Hum
Kabhii Waqt Miley To Dekhna Adhura Chaand
Key Is Ki Tarha Madhum,Udaas Rehtey Hain Hum
Kabhii Waqt Miley To Bhula Hame
Is Bahney Shayd Tumhara Kuch Waqt Miley Hum Ko