Aaya tha ghar sanvaarane ehasaan kar gaya

barbadiyon ka aur bhi saamaan kar gaya

ab tak rahi us ki yaad meri zindgi k saath

do char pal ki mujh se jo pahachaan kar gaya

aankhon ne jis ke shauq mein raatein sajaai thin

khvaabon ki anjuman wohi viraan kar gaya

jhonkaa nasim-e-subah ka aaya to tha magar

gulshan ki har kali ko pareshaan kar gaya