Sadak Ke Kinaare Gadiyon Ke Pahiyon Se Uthti
Dhul Aur Dhuwein Ke Beech
Baitha Bujhi Hui Aankhon Waala
Woh Aadmi Jiske Chehre Ke Kareeb
Aap Behichak Rakh Dete Hain
Apna Juta Polish Karwane
Ya Fir Railway Station Par Daurdta
Ubhri Hui Haddiyon Waala
Woh Aadmi Jiske Kanddhon Par
Apne Safar Ka Tamaam Bojh
Laad Dene Ke Baad Bhi
Aapko Lagta Hai Ki Abhi Bhaar Kamm Hai
Aur Mehntaana Juaada Ya Fir Akhbaaron Ke
Kono Mein Karaahate Aisi Hee Anginat Aadmi.
Jinhe Aap Apney Dwaara Gadi Hui
Sabhyata Ki Bhaasha Mein
Keh Saktey Hain ‘Chota Aadmi’.
Yeh Chote Aadmi Badi Va Bhavya Imaaraton Ki
Neenv Rakhtey Hain Aapka Taj Mehal Gardtey Hain.
Kya Kabhi Dekha Hai Aapne Inki Aankhon Mein Ubhraa
Prashnchinnh? Aap Dekhein Na Dekhein Magar
Maine Dekha Hai Inki Aankhon Ka Prashnchinnh
Aapki Chamchamaati Hui Sabhyata Se Bhi Bada Hai