Zindaagi Mein Ab Mere Koi Bhii Khushi Hii Naa Rahii
Royi Hoon Itna Phir Bhii Aasuon Kii Kabhii Kami Naa Rahii
Jeerahi Hoon Ghut Ghut Ke Apne Har Ekk Pal Mein
Tadpi Hoon Itna Mein Ke Ab Toh Koi Tamanna Hii Naa Rahii
Meri Saans Kii Khamoshi Mein Basera Tha Armaano Kaa
Gham Ka Tufan Hai Ye Ab Inme Khushiyo Ki Mehek Naa Rahii
Jinki Aankhon Mein Sajaye The Sapne Salone Meine
Unki Aankhon Mein Meri Chaahat Kii Woh Roshini Naa Rahii
Jisne Dikhaye The Mujhe Khwaaab Jeene Ke Ik Din
Uski Un Raahon Ki Mein Ab Woh Chamakti Manzil Naa Rahii
Kehta Tha Ki Uske Dil Mein Bas Mera Hi Ghar Hai
Uski Un Dhadkanon Ko Ab Meri Zara Bhi Parwaah Naa Rahii
Badal Jaatay Hain Kaise Rishte Pal Do Pal Mein
Jiski Khwaishe Thi Mujhse Use Ab Meri Zarurat Naa Rahii
Mar Raha Hai Jism Mera Kishton Mein Har Naye Din
Ye Maiyyat Hai Meri Logon Isme Ab Koi Zindagi Naa Rahii