Safaid Aanchal Ke Ek Kone Mein
Mere Aansu Sanbhaal Ker Is Tarah Se Boli
Na Aise Rona Ey Mere Bachchay
Yeh Zindagi; Ek Dusra Naam Hai Dukhon Kaa
Tumhare Aansu Mere Jiger Per Tapak Pare Hain
Na Mere Bachchay Na Aise Rona
Mein Rote Rote Hi So Gaya Thaa
Ufeq Ke Us Paar Se Meri Maan
Mere Dukhon Per Udaas Ho Ker
Meri Tassalli Ko Aan Pohnchi
Vehi Muqaddas Nadeem Aankhein
Rahim Aankhein, Karim Aankhein
Ufeq Ke Us Paar Se Jo Mujh Ko
Bari Mohabbat Se Dekhti Hain
Meri Nigahon Se Dur Hain
Per Mere Dukhon Ki Nami In Aankhon Mein Jaane
Kyun Ker Chalak Uthi Thi Woh Meri Maan Hai
Jo Mere Ashkon Ko Pallu Mein Baandh Ker
Aasmaan Ke Us Paar Le Gaee Hai
Yeh Loag Kehte Hain Maayein Merti Hain
Maayein Mar Ker Bhee Jaagti Hain
Jo Bachchay Royein To Soti Keb Hain
Yeh Maayein Bachchon Ko Khoti Keb Hain