Wo Sheher Bhii Chhod Gaya
Jo Kabhii Apna Sa Lagta Tha,
Un Apnon Se Naata Tut Gaya
Jinse Bichadna Ekk Sapna Lagta Tha,
Main Hairaan Tha Fitrat-E-Insaan Se
Sab Ke Sab Ekk Saanche Mein Dhal Gaye,
Chehre To Sabhi Jaane Pehchaane The
Phir Achanak Keise Badal Gaye,
Kuch Khas To Naa Kamaaya Tha
Sivay Mohobbat Ke Lekin,
Meri Is Kamaai Ke Chehre Se
Mohobbat Kaa Hii Rang Utar Gaya,
Phiki Muskrahaton Mein Chipe
Wo Chehre Hii Baaki Reh Gaye,
Nasamjhi Mein Jinhe Shayad Hum
Mere Apne Keh Gaye,
Afsos Teri Naakami Par Ey Chaand
-Ë—chaandni-‘ Bhi Teri Naa Ho Saki,
In Sitaroon Kii Bheed Mei Bhii
Tum Tanha Hii Reh Gaye