Sikhate Hai Jo Dusron Ko Sabak Lihaazon Ka,
Bhool Jate Hai Wo Matlab Insaaniyaton Ka,
Ghumte Rehte Hai Chehre Pe Chehra Lagaye Hue,
Kaun Samjhayein Inhe Maayna Sharafaton Ka,
Khuda Ka Matlab Bhi Na Jaante Hai Jo Jaahil,
Waasta Dene Chale Wo Nasamajh Bas Khudayi Ka,
Masjidon Mein Jaate Hai Apne Gunaahon Ki Maafi Maangne,
Kaun Maaf Karega Gunaah Unke Dilon Ko Rula Jaane Ka,
Mauka Dhundte Rehte Hai Dikhane Jhuthi Shaan,
Lete Hai Panaah Kuch Bematlab Ke Muddon Ka,
Sila Apni Harkaton Ka Isi Jahan Mein Maujood Hai,
Kya Waasta Denge Insaanon Ko Wo Jaahil Jannaton Ka,
Bante Hai Bhale Bahut Naqaab Pehne Mehfilon Mein,
Kinaara Kahan Hoga Sharmsaaron Ki Behudgiyon Ka,
Bane Phirte Hai Awwal Darje Ke Shayar Yahan Kuch Log,
Naam Mitti Mein Milate Hai Yehi Log Haseen Mehfilon Ka.