Rab Ke Rooth Jane Ka Ab Gum Nahi Hota
Hai Silsila Purana Jo Kabhi Kahtm Nahi Hota
Rishton Ke Tarajoo Per Tole Jatey Hain Jazbaat
Be Mol Bike Naton Me Koi Dum Nahi Hota
Shama Aur Perwane Ka Hai Sath Purana Sadiyon
Fitrat Hai Jalna Magar Roh-E-Khumar Kum Nahi Hota
Jindgi Ke Derdeeley Nagmon Ko Suntey Rahey Taumr
Sur Hotey Hain Hazaron Magar Sargam Nahi Hota
Sone Ke Pinzron Me Qaid Hua Chehkna Sona
Perwazon Ke Cheekhney Ka Ab Mausam Nahi Hota