Aap rooth kar na yun sazah di

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (1 votes, average: 5.00 out of 5)
Loading...
Shared by : On :

Aap Rooth Kar Na Yun Sazah Di Jiye
Baat Jo Hai Dil Mein Bata Di Jiye !
Darmian Mein Ho Gaya Hai Jo Faasla
Aap Khuda Ke Waaste Mita Di Jiye !
Han Yehan Suroor Aur Chaa Jayega
Aake Aap Chhat Pe Muskura Di Jiye !
Gulshan-E-Wafa Ke Phool Khil Jayen Ge
Saath Mere Do Ghadi Kata Di Jiye!
Ek Shaam Yaadgaar Ban Jaye Gi
Aake Pyaar Ka Diya Jala Di Jiye !
Toodkar Ghamon Ka Nata Yograj Ka
Pyaar Ka Safar Unhen Kara Di Jiye