Raas Aayii Thii Hume Aawaarghi Pehle Kabhii
Jaagna Shab-Bhar-O-Karna Doston Se Atkhali
Ghar Humara Ab Kafas Maalum Hota Haiy Hume
Chaayii Haiy Viraaniyaan Hotii Jahaan Thii Roshnii
Ek Chehre Pe Kaii Chehre Sajaa Lete Hain Log
Doston Humko Magar Pyaari Humaari Saadghi
Raabtaa Tutaa Jo Unke Dil Se To Ye Haal Haiy
Ur Gayi Ankhon Se Neenden So Rahii Haiy Zindaghi
Dil Se Hum Behaal Hain Aur Jism Se Beemaar Hain
Dost Deten Hain Dawa Pyaale Mein Bhar Ke Tishnaghii
Kehten Hain Ke Dard Barkar Khud Shifa Ban Jayega
Dekhenge Nazdeek Aakar Tere Bhii Ey Ajnabi
Apne Armaano Ki Duniya Tujh Pe Kyun Na Vaar Den
Kyun Na Tere Saath Jee Len Hum Bhi Do Pal Ey Khushi
Yun Shama Raaton Ko Roti Haiy Sisak Kar Baar Baar
Wo Sitamgar Dekh Na Paayaa Wafaa Ki Roshnii