Nahii Dekhii Kabhii
Raaston Ko Rukte Huyee
Rastee Jahan Khtam Huii Haii
Wahin Se Nayi Disha Judii Huii Haii
Pathrile Raahoon Ko Bhii
Raaston Main Badlte Dekha Haii
Lehron Ne , Jharno Ne Bhii
Apnii Manzil Banaii Huii Haii
Zindagi Main Kaii Sawaal Jab Uthte Hain
Prakarti Main Unke Jawab Chupe Hote Hain
Shayad Hum Dekh Nahii Paate Samjh Hin Nahii Paate
Na Jaane Kyoun Sabkii Zindagii Aisi Uljhii Huii Haii
Sabhii Kii Yahii Kahaani Haii
Door Se Hin Dikhtii Sab Haryaalii Haii
Ek Bhram Haii Kshitiz Ka Dikhna
Warna Sabhii Kii Ek_gum Kii Kahaanii _banii Huii Haii
Na Udaas Hona Na Thak Ke Haarna
Jindagii Haii Jab Tak Chalete Hin Rehna
De Na Saath Usska Jo Peeche Choot Jaaye
Issii Main Sachchaa Sukh Chupii Huii Haii