Meray Gher Ki Her Ek Deevaar, Her Ek Der Badal Daalo
Agar Mumkin Na Ho Aysa, To Mera Ghar Badal Daalo
Badal Daalo Chamn Kay Rung Saaray, Khusboo-Ain Saari
Her Ek Shay Ab Khizaan Kay Roop Main Aaker Badal Daalo
Qafas Main Taaqat-E-Perwaaz Day Ker Keya Mila Tum Ko
Meri Sochain Badal Daalo Ya Mairay Per Badal Daalo
Agar Tabdeeliyon Ka Shoq Hay To Aik Din Aaker
Jo Mairi Soch Main Phaila Hua Hay Der, Badal Daalo
Meray Atraaf Kay Manzar Badal Daynay Say Pehlay Tum
Meri Aadat Badal Daalo, Ya Maira Ser Badal Daalo
Badalna Hay Agar Tum Ko To Mairay Khaab Mut Badlo
Meri Neendain Badal Daalo, Mera Bistar Badal Daalo
Meri Manzil Nahi Badlo, Meray Rustay Nahi Badlo
Yay Mairi Raah Main Ubhray Huay Pat-Thar Badal Daalo
Agar Mere Sochain Badalnay Ka Iraada Ho
To Us Kay Saamnay Phailay Huay Manzar Badal Daalo