Main Ghar Ko Chod Aaya Tha Khud Ghar Ke Vaaste,
Paane Ko Ekk *Bahaal Se Manzar Ke Vaaste.
Ekk Deep Door Se Hee Sahi Roshni Tau De,
Aur Chaahiye Kya Tumko Rahguzar Ke Vaaste.
Main Apni Aarzoo Kaa Qatl Karke Khush Hoon Ke,
Ik Juu-E-Narm-Rau Tau Hain Shajar Ke Vaaste.
Aise Bhii Hain Charaag Jinki Lau Se Aaj Tak,
Dhundhlaayi Aankh Roti Hain Sahar Ke Vaaste.
Insaan Fard Fard Hain Tau Soch Fard Fard,
Pinha Ke Vaaste Kahiin Patthar Ke Vaaste.
Abb Jism-O-Jaan-O-Saans-O-Raat-O-Din Ke Sath Sath,
Kuch Maal Bhee Hain Kharch-E-Humsafar Ke Vaaste.
Hairat Nahi Ke Meri Fugaan Be-Asar Gayee,
Gaafil Jahaan Kyun Roye Dar-Badar Ke Vaaste.
Sarr Nahi Jhuktaa Kabhi Talib Kaa Kisi Taur,
Jhuktaa Hain Magar Allah-O-Akbar Ke Vaaste.