Likhne Jo Lage To Mere Kalam Aaram Nahi Lete
Syaahi Bahaate Hein Lekin Koyi Inaam Nahin Lete
Jo Dil O Jaan Se Moujh Deewaane Ko Chahte Hein
Waakai Eisse Shakhs Dimaag Se Kaam Nahin Lete
Oun Ko Doshi Thehraane Se Koyi Fayda Bhi Nahi
Apne Khaali Khopdi Oupar We Ilzaam Nahi Lete
Nasha Kuch Aur Hai Jab Maei Main Ashk Mila Ho
Aab Mila Ho Jis Main Hum Eissa Jaam Nahi Lete
Hum Se Houi Jo Koyi Bhoul To Hamein Bhi Bataiye
Pata To Lage Aap Kyon Hamara Salaam Nahi Lete
Aap Ki Inayaton Ke Badle Jaan Nisaar Kar Deinge
Wo To Khuda Hai Jo Mehnat Ka Daam Nahi Lete
Na Pouchaa Kijiye Kis Ne Louta Hai Chain Hamara
Ism-E-Habeeba Hum Youn Saar-E-Aam Nahi Lete
In Honthon Pe Yaha Naam Kyon Aaya Hai Mushkil
Ab Bhoule Se Bhi We To Khuda Ka Naam Nahi Lete