Patton Per Darakhton Per Lage Jaale Ne Rok Liya Hai
Roohon Kaa Saffar Gunaah Ki Simt Jaari Hai
Waqt Ki Rait Jar Ko Torh Kar
Aaankhon Mein Parh Gai Hai
Aur Ham Ne Band Aaankhon Se
Saffar Ki Nabz Pe Haath Rakh Diya Hai
Kashtiaan Kafsh-E-Paa Ki Salaamat Nahin
Zameen Apna Kashkol Liye Baithi Hai
Sab Sitaare Is Mein
Raftaa Raftaa Utar Rahe Hain
Ik Chaand Akelaa
Chakoron Ko Dawat-E-Mohabbat De Rahaa Hai
Jo Un Ke Liye Maot Ki Ziaafat Hai
Bhook Se Band Aaankhein
Maot Ke Khaof Se Khul Gai Hain
Aur Gidh Insaan Se Zindon Ko Khaane Ka Hunar Seekh Rahe Hain
Fakhtaayen Tassadum Ke Hadaff Per Hain
Aazaad Qabeele Aur Ghulaamon Mein Musaalehat Hone Ko Hai
Kiounkeh Bhook-Harhtaal Pe Baithe Log
Apne Apne Nazriaat Khaa Chuke Hain
Qayaamat Aakhir Kab Aaye Gi
Pahaarh Ruii Ke Gaale Kab Banein Ge
Sooraj To Lamhaa-Ba-Lamhaa
Sawa Nezaa Pe Aataa Jaa Rahaa Hai