Koi Paudha Ho Ya Ped Ho,
Jadoke Bina Kya Khada Ho Bhi Sakta Hain
Fir Kyun, Kamal Ke Jadokato Koi Thikana Nahi,
Woh To Panimein Palte Hain
Shayad Yahi Wajah Hain,
Kamal Ka Koi Thikana Nahi, Panike Rukhpe Bathe Hain
Kya Isika Naam Zindagi Hain,
Zameen Aur Paani Ki Ahmiyat Alag Alag Hain
Nadiya Ko Bathe Rahna Hain Samandar Ke Milne Tak,
Zeel To Wahi Hai Raaj Samete Huen
Kamalko Kinarese Aur Kya Koi Alag Kar Sakta Bhi Hain,
Jadoka Koi Thikana Bhi Nahi
Bhanwre Fir Bhi Pahunch Pate Hee Hain Kamal Ki God Mein Kho Jane Ke Liye
Shyam Ke Hone Se Subahke Ho Jane Tak Nadiyan Ke Do Kinare Kabhi Ek Hote Bhi Nahin
Tarantash Apni Manjil Talashte Talashte Us Mod Tak Pahunchneki Koshish Jari Rakhta Hain
Jahan, Uski Rooh Ya Kabhi Uska Dil Use Chain-E-Sukun Me Pighla Deta Hain-Â…..
Pyar Mohabbat Mein Bhi Yahi Hota Rahta Hain, Do Dilonka Milna Ho Ya Do Jismoka
Hawas Aur Pyas Ke Koi Maine Nahin, Aaj To Yeh Sab Maya Baajar Sa Lagta Hain
Shayad, Badalte Waqt Ka Rukh Kah Raha Hain, Ya Fir Aadmi Apne Aapse Bichad Raha Hain-Â….
Yahabhi, Uski Rooh Ya Kabhi Uska Dil Use Chain-E-Sukun Me Pighla Raha Hain
Bahane Kabhi Machine Hain To Kabhi Kaynaat Ke Badalte Rang Hain-Â….
Us Mod Par Aaj Khada Hoon, Apne Aap Pe Naaz Kar Raha Hoon
Jadoka Kal Bhi Pata Nahi Tha, Aaj Bhi Pata Nahin Hain
Shayad Isika Naam Zindagi Hain, Kamal Sa Bathe Rahna Hain
Zindagi Kabhi Zeelsi Hai To Kabhi Koi Nadiyasi Hain
Jaha Akhir Kinara Hain, To Kabhi Bahte Bahte Bhi Samandarsa Thikana Hain