Khud Per Na Tu Itna Guman Rakh
Insan Hai, Insaniyat Ki Pehchan Rakh
Tu Bi Toh Museebat Main Ghirega Kisi Roj
Doosre Ki Madat Ka Dil Main Armaan Rakh
Teri Manzil Tak Ye Pehunchayeinge Yakeenan
Mehfooz Tu Apne Pairon Ke, Nishaan Rakh
Her Kisi Ka Hashr Wohi Hoga Ek Din
Nazron Ke Samne Bas Tu, Shamshan Rakh
Nahi Behekne Denge Tere Kadmon Ko Kabhi
Dyaan Main Bible, Geeta, Quran Rakh
Tere Rehnuma Hi Ek Din Tera Ghar Fhook De
Dunia Se Khud Ko Na Itna, Anjaan Rakh
Dosti-Mohabbat-Ekta-Bhaichara Sab Hai
Nazron Main Apne Sirf Tu Hindustan Rakh.