Kash Wo Dosti Kabhii Kii Naa Hoti
Toh Aaj Bhii Dosti Mere Liye Sab Kuch Hoti
Wo Dosti Jo Kuch Alag Hii Thii
Aisi Dosti Jo Sari Duniya Jante The
Aaj Naa Rahi Wo Hii Dosti
Mujhe Fakar Tha Jis Dost Par
Woh Hii Dost Aaj Mujhe Bhool Gaya
Bhool Gaya Wo Humara Dostana
Bhool Gaya Wo Shararte
Jo Hum Socha Aur Kiya Karte The
Bhool Gaya Wo Hasi -Mazak
Har Baar Jo Saath Rehta Tha
Aaj Ek Pal Saath Nahi Rehta
Kya Jawaab Du Is Duniya Ko
Jo Aise Sawaal Puchte Hai
Jinke Koi Jawaab Hii Nahii
Kya Kahu Un Thikano Se
Jaha Hum Mila Aur Baitha Karte The
Kaha Jao Bin Tere Dost
Log Ab Pehchan Bhii Nahii Pate Hain
Berang Tha Main Pehle Bhii
Kyu Dosti Ka Rang Ekk Pal Ke Liye Bhara
Bejaan Tha Main Pehle Bhii
Kyu Kuch Pal Ki Zindagi Mujhe De Gaya