Kal Nazar Aaya Woh Chehra Jo Kabhi Thaa Itne Kareeb Ki
Palkon Ke Niche Un Shokh Akhon Ki Gaharaee Mein
Padha Sakte The Hum Dher Se Khayalat Apne Bare
Jab Hum Dekhte Reahte Un Aakhon Ko Iktak
To Wah Hans Deti Aur Yun
Hamara Haseen Silsila Toot Jata Phir
Ek Arse Baad Jab Nazar Aaya Wah Chehra
To Un Aakhon Mein Shikayatein Darj Thi
Woh Khafa Thii Humse,Na Jane Kyu Thii
Humne Chaha Unse Gufatgu Karna Bhi
Par Kuch To Mauka Na Mila Aur Kuch Kuvvat Na Huee
Baad Muddat Aaj Phir Dikha Wah Chand Mujhe
Or Is Baar Un Aakhon Mein Meri Sada Sunkar
Mera Chehra Dekhne Ki Kwahish Thii