Kabhii Sukham-Aa-Tisukhsm*
Kahi Nabh Se Bhi Vishaal
Satya Asatya Se Pare
Naa Bane Koi Aur Jaal
Shabd Nihshabd Se Pare
Kaha Se Doon Koi Misaal
Anant Kii Dhaara Mein Anant Path Mein
Maano Ghoolmil Gayi Ya Dekh Rahi Hoon
Harpal Hai Koi Chamatkaar
Drishthi, Aur Drashya
Kaa Koi Bhed Nahii Main Aur Tum Kaa,
Koi Mol Nahii,Kaise Bataaon Bin Shabdo Ke
Jo Dekha Maine Aviraam
Shabd Nahii Bas Maun Hai, Maun-Aati-Maun
Naa Ujaala Naa Koi Andhkaar
Naa Raag Naa Dhwesh Naa Ghrina, Naa Klesh
Bas Ekk Paak Anubhuti Bakhaan Naa Ho Jisaki Garima
Naa Jaanoon Sukhsm Hain Kii Vishaal