Kabhi-Kabhi Lagta Hai Yun Hi Bewajah Si Beet Rahi Hai Zindagi
Jaise Ek Hi Dhuri Ek Hi Samye Ke Pahiye Par Bina Raftar Si Beh Rahi Hai Zindagi
Har Mahine Ki Pehli Tarikh Aate Hi Tum Kehte Ho
Jo Samaan Lana Hai Usko List Bana Do
Kaun Si Daal Kitne Chawal Aur Kitna Aata Lana Hai Yeh Bata Do
Kis Ki Is Mahine Kya Jarurt Hai Yeh Bhi Batla Do
Bas Isi Tarah Mahine Dar Mahine Beet Rahi Hai Zindagi
In Sab Se Yeh Gher Toh Bhara Bhara Lagta Hai
Par Na Jane Kyu Koi Man Ka Kona Reeta Sa Lagta Hai
Aao Is Baar Kuch Nayi Si List Banaye
Is Nayi List Ke Saaman Se Apni Uljhati Si Zindagi Ko Kuch Sulajaye
Is Nayi List Ke Saaman Mein Sabse Pehle‚  Ek Tukda Aasman Ka Lana
Jis Mein Ham Fir Se Dur Dur Tak Pyar Ki Ek Nayi Udaan Bhar Sake
Lana Ek Dhup Ka Tukda
Jiski Garmi Se Ham Dono Apni Thandi Hoti‚  Bhawanao‚  Ko Garma Sake
Ek Tukda Tazzi Hawa Ka Bhi Lana
Jis Se Ham Apni Pradusheet Hoti Saanso Ko Fir Se Mehka Sake
Aur Suno Ho Sake Toh Thode Se Rang Indra-Dhanush Ke Le Aana
Jis Se Ham Apni Badrang Hoti Zindagi Ko Naye Rang De Sake
Janti Hun Tum Kahoge Ki In Sab Cheego Se Ghar Nahi Chalta
Aasman Ka Tukda Tan Nahi Dhakata
Dhup Ki Garmi Se Pat Nahi Bharta
Aur Tazi Hawa Woh Kaha Ab Milti Hai?
Indra-Dhanush Ke Rang Bhi Ab Dikhate Hai Kam
Par Dekho Koshish Karke Ek Baar Toh Yeh Sab Jarur Lana
Taki Bewajah Ubati‚  Ek Hi Dhuri Par Ghumati Is Zindagi Ko
Fir Se Ek Naya Rang Ek Madhur Sangeet Ki Laye De Sake