Kabhi Dil Main Ye Khayaal Aaya Tha
Ki Toumse Janmon Ka Ek Pehchaan Hai
Aur Hamari Chaahat Toumhi Pe Aaya Tha
Waqt Mere Iss Pyar Ki Dawa Na Ban Paya
Na Apne Marham Se Mere Dard Ko Mita Paya
Magar Wo Toumhein Humse Cheen Bhi Sakta Tha
Jab Bhi Tere Sahare Ke Liye Tarsa Tha
Tab Tab Toum Paas Thi Nahin
Jab Bhi Toujhe Dekhne Ko Tarpta Tha
Toum Chupi Rehti Thi Kahin
Jab Bhi Toumko Dekhkar Mouskaya Tha
Tab Teri Honthon Ki Kali Khili Bhi Nahin
Jab Bhi Toumse Meine Ankhein Milaya Tha
Toumne Hamein Pehchana Tak Nahin
Ab Mein Ne Apni Zindagi Ganva Di Hai
Apne Pyaar Ke Lash Ko Bhi Jala Dala Hai
Jab Hamara Badan Rakh Main Badal Jayega
Aur Hamari Awaaz Tere Sapnon Main
Sirf Ek Parchaayi Ban Kar Reh Jayegi
Kya Tab Toum Hamein Yaad Karogi
Jab Khamoshiyan Toumse Hamari
Aashiyan Ka Pata Poucheingi
Kya Tab Toum Hamare Liye
Ek Choti Si Doua Mangh Sakogi