Kaash Mai Bhi Aey Bakrey Tera Maalik Hota
To Barey Naaz Sey Nukhrey Sey Bari Shaan Key Saath
Dikha Key Sub Ko Muhalley Mai Nehlaata Tujh Ko
Jub Kabhi Soch Mai Dooba Mai Ghumaya Karta
To Phir Tu Mood Mai Seengey Mujhey Maara Karta
Mai Terey Hamlon Ki Shiddat Sey Bharak Sa Jaata
Jub Kabhi Raat Ko Bhaagney Ki Tu Koshish Karta
Mai Terey Kaan Pakar Kar Tujhey Laatey Dhurta
Phir Teri Zulf Pakar Kar Tujhey Daanta Karta
Ab Bata Band Rassi Tor Key Jaaega Kya
Terey Do Daant Mai Sub Hi Ko Dikhaya Karta
Mujhey Betaab Sa Rakhta Terey Bhaagney Ka Nasha
Tu Merey Ghar Mai Hamesha Hi Gund Karta Rehta
Terey Tohfon Sey Mera Ghar Bhi Mehekta Rehta
Kuchh Nahi To Bus Tera Benaam Sa Aashiq Hota
Kaash Mai Bhi Aie Bakrey Tera Maalik Hota