Jo Hamare Kareeb Tha‚  Chala Gaya Woh Chor Ke
Jo Hamein Itna Azeez Tha Chala Gaya Woh Chor Kerishtey Bante
Hain Kyun Jab Unhe Toothna Hi Hota Hai
Log Milte Hain Kyun Jab Unhe Bicharna Hi Hota Hai
Kiyun Ban Jata Hai Koi Apna Itna Khas
Kiyun Usse Khone Main Hota Hai Dil Itna Udaas
Kiyun Chala Jaata Hai Koi Humse Itna Dur
Kiyun Cheen Leta Hai Woh Hamara Chain Aur Suroor
Zindagi Kiya Hai Chaar Din Ki Khushi
Phir Milti Hai Umar Bhar Ki Bebasi
Zindagi Kiya Hai Armanon Ka Mela
Kabhi Hote Hain Apne Saath Kabhi Hota Hai Dil Akela
Zindagi Kiya Hai Ek Nasamjhi Kitab
Kabhi Khushiyon Ka Mahtab Kabhi Dukhon Ka Aftab
Jo Hamare Qareeb Tha Chala Gaya Woh Chor Ke
Jo Hamein Itna Azeez Tha Chala Gaya Who Chor Ke