Janhaa Kabhii Khilate Thii Phule Chahton Ke
Aaj Wanha Yaadon Ke Cactus Uge Hain
Janhaa Kabhii Aatei Thii Baharein Chalkar
Wanha Aaj Hawaon Ke Rukh Mude Hue Hain
Waqt Ne Badale Thaa Zamane Kai ,
Jinhe Bhulane Mein Gujare Thaa Zamane Kai
Par Dard Ke Fasane Bhhole Kanha Jate Hain
Waqt Gujar Jata Hai Par Yaadein Kanha Jati Hain
Wo To Bankar Cactus, Zindagi Ki Paheli Se Jud Jati Hain
Cactus Bhale Hi Kanton Se Bhara Hota Hain
Phir Bhi Auro Ki Tarha Sans To Leta Hain
Bankar Cactus Yadein Is Man Mein Sama Jati Hain
Jab Bhi Chode Hai Unhe To Ek Nashtar Ka Dard De Jati Hain
Ummid Hai In Cactus Par Kabhi To Phool Aa Jayenge
Aur Rahne Walein In Yadon Mein Muskarate Hue Nazar Aayenge