Jane Kyun Bahut Mushkil Hota Hei Aksar
Haath Phailaaye Sar-E-Rah Guzar Jaane Do,
Jeene Walon Ki Ab Laash Ko Mar Jaane Do.
Qaid-E-Zindaan Se To Behtar Hai Rihaayee Mairi,
Zindah Rahne Nahin Daite Ho To Marjaane Do.
Cheen Lo Mujh Se Rawaadaariy-E-Ihsaas-E-Wafa,
Dar-E-Maut Pe Ab Deeda-E-Tar Jaane Do.
Jabr-E-Heraast* Ko Touke, Hai Ye Kis Mein Jur-‘at,
Jou Bhi Ilzaam Hai Sab -ŗdard- Ke Sar Jaane Do.
*Akelapan, (Lonliness)
Tod Do Silsilae Sab Vahm-O-Gumaan Ke Ab To
Toot Jane Do Bharam, Rooh Ko Ghar Jaane Do.
Kis Ko Hai Hasrat-E-Aasaayish-E-Jaan Dunyaa Mein,
Zaalim-O-Kaafiron Ki Basti Hei Guzar Jaane Do
Apne Qaaboo Mein Nahin Dil Ka Safeenah Ae -ŗsush-.
Jis Taraf Rukh Hai Intehaao-‘n Ka Udhar Jaane Do.
Haath Phailaaye Sar-E-Rah Guzar Jaane Do,
Jeene Walon Ki Ab Laash Ko Mar Jaane Do.