Hawa Ke Waaste Ekk Kaam Chhod Aaya Hoon
Main Diya Jala Ke Sar-E-Shaam Chod Aaya Hoon
Amaantey Shahar-O-Shaam Chod Aaya Hoon
Main Kahi Charaag Kahi Jam Chhod Aaya Hoon
Kabhi Naseeb Ho Agar Fursat To Use Padh Lena
Voh Ekk Khat Jo Tere Naam Chod Aaya Hoon
Key Koi Charaag Sar-E-Rahgujar Nahi Naa Sahi
Mai Naksh-E-Paak Hargaam Chod Aaya Hoon
Abhi To Aur Bhi Bahut Us Par Tafsire* Honge
Mai Gooftagu Main Jo Ibhaam* Chod Aaya Hoon
Ab Vahaa Se Kadam Bhii Naa Badh Sakenge Aage
Mai Jahaan Gardish-E-Ayaam* Chod Aaya Hoon
Key Chain Se Ji Saku Kabra Mai Kazaa* Aane Ke Bad
Tere Ishq Kii Manzilen Nakaam Chod Ayaa Hoon
Mujhe Jo Dhoondhna Chaahe Vo Dhoondh Le Jaaye
Apne Kucche Ab Main Gumnaam Chod Aaya Hoon