Fir Mujhe‚  Deeda-E-Tar Yaad Aaya
Dil Jigar Tashna-E-Fariyaad Aaya
Dam Liya Tha Na Qayaamat Ne Hanoz
Fir Tera‚  Waqt-E-Safar‚  Yaad Aaya
Saadgee‚ ‚  Haay‚ ‚  Tamanna,‚  Yaanee
Fir Wo Nai_rang-E-Nazar Yaad Aaya
Uzr-E-Waamaandagee ‘Ei Hasarat-E-Dil
Naala‚  Karta‚  Tha‚  Jigar‚  Yaad‚  Aaya
Zindgee Yon Bhee Guzar Hi Jaatee
Kyon‚  Tera‚  Raahguzar‚  Yaad Aaya ?
Kya Hee Rizwaan‚  Se Ladaayee Hogee
Ghar Tera Khuld Mein Gar Yaad Aaya
Aah Woh‚  Jurat-E-Fariyaad Kahaan
Dil Se Tang Aake Jigar Yaad Aaya
Fir Tere Kooche Ko Jaata Hai Khayaal
Dil-E-Gumgashta‚  Magar‚ ‚  Yaad‚ ‚  Aaya
Koee Weeraanee-See-Weeraanee Hai
Dasht Ko Dekh Ke‚  Ghar Yaad Aaya
Mainne Majnoon‚  Pe Ladakpan Mein ‘Asad’
Sang‚  Uthaaya Tha‚  Ki‚  Sar‚  Yaad‚  Aaya