Ek Din Khili Dhup Mein
Ek Ullu Mujse Takaraya
Hello How Are U Dear
Keh Kar Muskaraya
Kuch Der Rah Chup
Bade Gum Se Woh Bola
Suna Hai Desh Mein
Tabahi Machi Hui Hai
Marey Insaano Ke Saav Par
Insaano Ki Mara-Maari Lagi Hui Hai
Main Bola O Mere Ullu Bhai
Kalyug Main Unhe Bhai Pukarna Padata Hai
Khabar Khub Rakhtey Ho Jahan Ki
To Yeh Bataiye
Haal Apni Jammaatey Sunaiye
Bolakhub Thik Chal Rahi Hai
Insaano Ki Galitiyon Se Jamat Hamari
Bahut Kuch Sikh Rahi Hai
Insaano Ki Ladai
Nakka Zukkiaur Bewafai Ney
Hamain Nek Ban-Na Sikha Diya Hai
Aab Hum Main Self Pride‚  Ubhar Aaya Hai
Kya Kahen
Hamara Ram-Yug Aa Gaya Hai
Main Bolahow It Is Possible Dear
Kaisey Ban Sakta Hai Kutta Kabhi ‘Bear’
Bola Bhaimere Why Not
Ban- Ne Ko To Saab Kuch Bansakhta Hai
Aapke Pradhamantri To Gadha Bantey
Aur Gadhe Ko Prdhanmantri Bantey
Khud En Aankho Se Dekha Hai
Phir Muskaratey Hue
Gahri Awaaj Main Mujse Bola
Suna Hai Aap Pipeline Engineering Kar Rahe Ho
Budhapey Ke Diye Se
Kya Nahi Roshni Kar Rahe Ho
Main Bun- Naya
Bahut Akaraya
Par Bhala Ullu Se Bhi Kaun Lade
Is Soch Main Chup Raha
Aur Who Bola
Insaan Hoyaad Rakhtey Ho
Isliye Ek Baat Batata Hu
Pehle To Sirf Ullu Kah Kar Bas Kar Laitey Thay
Ab Ullu Ban Kar Kyon Ji-Mar Rahe Ho
Kuch To Raham Karo Hamari Jamat Per
Kyu Ullu Ban Kar Usey Khanan Kar Rahe Ho
Kah Kar Ullu Chal Diya
Main Socha Kaisa Kalyug Aaya Hai
Ullu Bhi Insaano Sey Bilkhaya Hai
Kya Aur Bhi Koi Yug Aayega
Jab Ek Ullu Dusarey Ullu Ko
Insaan Kah Kar Chidhayega