Ek Baar Humme Aya Nyota Raison Ki Party Ka
Zat Taiyar Hue Hum Bhaiya Pahan Suit Sadi Ka.
Phate Purane Jooton Ko Dekar Ke Naya Roop
Itra Laga Kar Itminan Se Nikhara Apna Roop
Pakad Kar Bus Ootarey Hum Club Se Kooch Aagey
Wanhi Se Taxi Karke Hum Club Mein They Padharey.
Andar Pahoonch Kar Humne Jo Nazara Dekha
Samaj Na Aaya Kaun Thi Ladki Kaun Tha Ladka
Himmat Kar Kar Hum Kuch Aur Andar Ko Padharey
Ek Joomti Huee Jawan Mahila Se Takraye
Hum Apni Nadani Se Thar Thar They Kaampe
Lekin Humme Dekh Kar Woh Kyoon Kar Gabratey
Hothon Ki Lipstick Oonki Aur Adhik Rang Laayee
Do Second Key Andar Mere Chehre Per Jo Chayee
Hayee Re Gabra Kar Hum Andar Ki Aur Bhage
Dekh Wanha Ki Raunak Man He Man Sharmaye
Ke Pi-Kar Sab Masti Men Aise Jhoom Rahe They
Kaise Batayen Kaun Kissse Kanha Choom Rahe They
Aage Jo Nazare Dekhe Wey Kooch Nahin They Achey
Bobby Picture Ka Khel Khel Rahe They Raison Ke Bache
Ek Bana Tha Rishi Kapoor Aur Ek Bani Thi Dimple
Ithni Si Umar Men Chehre Per Kithne Sare Pimple
Ladki Ne Ladke Se Kaha Aisa Kyoon Na Ho Jaaye
Hum Tum Ho Kamre Mein Band Aur Chabhi Kho Jaaye
Aisi Raunak Aaj Tak Humne Kanhi Na Dekhi
Such To Hein Bharat Kar Raha Kithni Oonati
Aur Adhik Kuch Dekhne Key Liye Hum Na Rookey They
Such Kehta Hoon Pal Bhar Key Liye Bhi Hum Na Tike They
Bahar Aakar Hamari Nazar Jis Aur Oothi Thee
Footpath Per Ek Nirdhan Maan Ki Kismat Oosse Roothi They
Baal They Ooske Bikhrey Hue Aur Bahon Mein Thee Ooski Mamta
Pata Nahin Aur Kya Dookh Sehne Oosne Janam Liya Tha
Ek Taraf To Chal Raha Tha Masti Ka Hahakar
Ek Taraf Chilla Rahi Thee Daridrata Ki Pukar
Hey Bhagwan Kaisa Tune Yeh Sansar Banaya
Kyoon Tune Ek Ko Ameer Aur Ek Ko Nirdhan Banaya
Lekar Bozil Man Hum Wapas Ghar Ka Laute
Such Kehta Hoon Raat Bhar Bilkool Na So Sake
Subah Ooth Kar Sabse Pahle Khayee Yahi Kasam
Aaj Se Aise Partiyan Kabhi Na Attend Kare Hum,
Dekh Meri Vyatha Jo Aap Mand Mand Muskurayen
Khuda Na Kare Khuda He Aapke Sare Daant Giraye