Dosto Hamein Tarz-E-Bayaan Kaa Hunar Nahin Aaya
Saf Ba Saf Huye Kharaab Par Fikr-O-Nazar Nahin Aaya
Kagazh Pe Utarte Hi Jo Na Chaskne Lage Dard Se
Meri Tabeeron Mein, Aisa Zabt-E-Hunar Nahin Aaya
Kehate Hain Ki Raushan Hai Mere Nuur Se Mehfil
Phir Mere Hi Dareeche Mein Kyun, Qamar Nahin Aaya
Taa Umr Raha Apni Khushi Se Aap, Mere Dil Mein
Ghurbat Mein Khaak Udhaane, Wo Rahbar Nahin Aaya
Ab Tauheen-E-Ulfat Ka Taqazzaa Naa Karein Aap
Kya Hua Jo Palakon Se Chun Ne Wo, Gauhar Nahin Aaya
Gham Ko Humne Laakh Dua Di, Aur Gham Ne Di Usko
Wo Shakhs Jo Jeene Ke Aadaab Sikha Kar Nahin Aaya
Mere Naqsh-E-Paa Se Bana, Dilon Ke Beech Raasta
Hokar Juda Bhi Wo Raabta, Tuuta Nazar Nahin Aaya