Dosti Ki Hai To Tum Usko Nibhaya Kerna
Phool Ulfat Kae Chehersimt Khilaya Kerna
Maut Aayae Bhi To Hum Door Na Hoangae Tum Sae
Dil Sae Tum Yaad Hamari Na Mitaya Kerna

Maal-O-Zar Nahin,Daulat Bhi Nahin
Piyaar Hi Piyaar Ulfat Main Lutaya Kerna
Tum Sae Milna To Kisi Haal Main Mumkin Hi Nahin
Hosakae Dost To Khawaboan Main Bulaya Kerna
Dost Kae Bhaes Main Miltae Hain Yahan Per Dushman
Haath Ghaeroan Sae Hergiz Na Milaya Kerna
Aankh Main Aansoo Ki Tarah,Seep Main Moti Ki Tareh
Raz Ki Baat Ko Mehfil Sae Chupaya Kerna