Aasha Hai, Bus Ek Choti Si Aasha,
Vo Choti- Choti Aankhen Jinse Vo Ghnaton Mera Dedar Karti Thi
Unhi Pyari Si Aankhon Ke Tasavur Ki Aasha,
Vo Palken Jisme Har Mushkil Ghadi Mein Mujhe Band Kar Liya Tha Usne,
Unme Phir Se Chupne Ki Aasha,
Vo Jo Uske Saath Raat Der Tak Baithna….
Vo Roz Usi Vakt Gaadi Ka Gujarna..
Mera Jaldi Ghar Jaane Ko Kehna..
Aur Raman Ka Rooth Kar Bahane Banana…
Vohi Khawab Phir Se Poora Karne Ki Aasha…
Vo Hath Jinse Usne Mujhe Chua Tha,
Unhe Apne Hathon Mein Bharne Ki Aasha,
Vo Dil Jisme Pyar Hai Mere Liye
Usi Dil Ko Phir Se Chune Ki Aasha,
Vo Bahen Jinme Har Gam Bhool Jata Tha,
Unhe Apni Bahon Mein Lene Ki Aasha,
Raman Ki Har Vo Choti Si Khusi Ko Poor Karne Ki Aasha,
Aaj Bahut Tanha Hoon Main,
Is Tanhai Ko Door Karne Ki Aasha
Roothi Hai Aaj Mujhse,
Apni Raman Ko Manane Ki Aasha,
Vo Humare Pyar Ko Phir Se Paae Ki Aasha
Aasha Hai, Bus Ek Choti Si Aasha-Â…-Â…”