Aaj Ka Din Janm-Diwas Tera Lekar Aaya
Khila Ttha Maasoom Sa Phool Kisi Maali Ka
Aaj Hee Ek Shehar Rangeen Hua Ttha Kahin
Deep Ik Aur Kahin Jal Utha Tha Diwali Ka
Aaj Har Pal Mera Bas Tere Liye Rehta Ttha
Aaj Pal Bhar Ke Liye Aankh Taras Jaati Hai
Aankh Pehle Bhi Yeh Royi Bahut Tere Liye
Ab Tow Lagta Hai Ki Barsaat Hui Jaati Hai.
Yaad Shayad Ho Tujhe Goad Mein Teri Chipkar
Main Zamin Kya Phalak Se Bhi Nahin Darta Ttha
Raat Aadhi Mein Aasmaan Ke Ghar Jaakar
Safed Baadalon Pe Tera Naam Likha Karta Ttha.
Kaise Batlaaoon Tujhe Tu Hai Nahin Tow Mujhpar
Kitni Bhaari Hai Hui Umr Ki Choti Si Dagar
Duniya Dikhti Hai Kisi Mehngi Dukaano Ki Tarah
Jeena Lagta Hai Ki Ho Jaise Gunaahon Ka Safar
Mere Geeton Ke Har Ek Pannon Per Uss Din
Naam Tuney Likha Tha Khud Ka Mere Naam Ke Saath
Aaj Moti Si Parat Dhool Ki Unn Per Hai Jami
Aaj Khaati Hai Unhe Deemak Bade Aaraam Ke Saath.
Aaj Bhi Yaad Hai Kal Ki Hee Tarah Wey Sabkuch
Aaj Bhi Sab Wahi Sheeshey Mein Dekh Leta Hoon
Din Ki Halchal Tow Mujhe Dumm Nahin Lene Deti
Raat Ko Roj Hee Aawaaz Tujhe Deta Hoon.
Tum Hee Tow Thi Jo Mere Dard Bhare Kagazon Ko
Saamne Baithkar Shringhaar Unsey Karti Thi
Kaali Saaree Mein Nikhartaa Ttha Tera Rang Aisa
Dekhkar Jisko Apsaraein Aah Bharti Thi.
Na De-Paaya Tha Kuch Bhi Tujhe Tere Din Per
Chaand-Sitaare Tow Kitaabon Mein Laye Jatey Hain
Jeb Jinki Nahin De Paati Koi Bhi Tohfa
Woh Maayoos Mere Saath Baith Jaatey Hain.
Teri Woh Khwaiish Na Poori Kar Saka Ttha Main
Jaana Chahati Tu Zameen Se Suhagan Bankar
Aaj Bhi Sindoor Liye Baitha Hai Mangal-Sutra
Kya Khabar Kal Ko Tu Aajaaye Zindagi Bankar