Chehray Pe Jab Wo Zulfon Ko Girati Hai,
Madhuri Se Kan Nahi Nazar Aati Hai,
Aur Jab Jhatak Ke Zulfon Ko Hatati Hai,
Hakikat Sar-A-Aam Nazar Aati Hai.
Roz Dil-O-Jaan Se Khana Banati Hai,
Apnay Haatho Se Fir Mujhko Khilati Hai,
Main Kahta Hoon Ek Hi Jhatkay Me Maar De Mujhay,
Kyon Roz Thoda Thoda Zahar Khilati Hai,
Aur Kal Kuchh Iss Tarha Se Meri Godd Me Baitthi Hai,
Aaj Tak Meri Saari Haddiyan Aintthi Hain,
Jab Bhi Mere Saath Bazar Gayee Hai ,
Daya Bhari Nazray Mujh Pe Padi Hain,
Koi Kahta Tha Kood Mar,
Koi Kahta Tha Doob Mar,
Aisa Kisi Ne Na Kaha,
Ek Aisi Hi Cheez Mere Ghar Bhi Padi Hai,
Lagta Hai Main Hi Akela Hoon Duniya Me,
Bahon Me Jiski Ye Jannat Ki Pari Hai,
Main Janta Hoon Wo Mujhko Bahut Chahti Hai,
To Kya Hua Jo Kabhi Kabhi Bartan Dhulwati Hai,
Chehray Pe Jab Wo Zulfon Ko Girati Hai,
Madhuri Se Kan Nahi Nazar Aati Hai