Na Sama’aton Mein Tapish Ghuley Na Nazar Ko Waqaf-E-Azab Kar
Jo Sunai Dey Ussey Chup Sikha Jo Dikhai Dey Ussey Khawab Kar
Abhi Munteshar Na Ho Ajnabi,Na Wissal Rut Key Karam Jata!
Jo Teri Talash Mein Gum Huvey Kabhi Un Dinon Ka Hisssab Kar
Mere Sabar Par Koi Ajar Kaya,Meri Dupehar Pey Ye Abar Kioon?
Mujhey Aurrhney Dey Aziyatain,Meri Aadatain Na Kharab Kar
Kahin Aablon Key Bhanvar Bajain Kahin Dhoop Roop Badan Sajain
Kabhi Dil Ko Thal Ka Mizaj Dey Kabhi Chashm-E-Tar Ko Chanab Kar
Ye Hajoom-E-Shehr-E-Sitamgaran Na Suney Ga Teri Sada Kabhi,
Meri Hasraton Ko Sukhan Suna Meri Khuahishon Sey Khitab Kar,
Ye Jaloos-E-Fassal-E-Bahar Hey Tahi Das,Yaar,Saja Issey
Koi Ashak Phir Sey Sharar Bana Koi Zakhm Phir Sey Gulab Kar