Barh gai yaado ki tapish, hamen muskurana hi tha

Chandni si thandak ke liye chand ko aana hi tha.

Nind se bojhil in aankhon ki betaabi ke liye,

Bankar sukun is dil men ghar banana hi tha.

Roj tumhari gali ki taraf kadam barhaata hun,

aapka hai kaam lootna, to hamen bhi lutaana hi tha.

Teri aankho ke samandar men dubna chahata hai

Tumse milne ka bas dil ko ek yeh bahaana hi tha.

Abhi khaya tha fareb, fir se sunahre khawab wahi,

Diye ki taqdir me shayad kewal jal jaana hi tha.