Bohat Mukhtasar Mera Kissa-E-Jawani Raha
Daman Khushk Raha Ankh Main Pani Raha
Shayad Wakif Na Tha Main Ishq Ke Pech-O-Taab Se
Wafaon Say Mera Tarruf Sirf Gaibani Raha

Main Gam.E.Yaar Main Duba Gam.E.Rozgar Main Khoya
Kiya Kahoon Kiya Kiya Fikr-E-Zindagani Raha
Hum Muskarate Rahe Aap Ki Mehfil Main Par
Sulagta Raha Yeh Dil Aur Dard Nihaani Raha
Umr Ne Sar Se Ghamoon Ka Sauda Tha Hata Dia
Dil Main Par Ik Shaula-E-Naagahanii Raha
Dewanay Uske Shehr Bhar Main Jo Ruswa Huwe
Woh Jane Kiyun Phir Bhi Sar-Giraani Raha
Kiyun Zalimoon Nay Maon Kah Bache Chen Liye
Kahan Aye Khuda Phir Jazba-E-Insaani Raha