Bohat Hi Maan Hai Tum Par
Suno Pas-E-Wafa Rakhana
Sabhi Se Tum Milo Lekin
Zara Sa Faasla Rakhana
Bichar Jana Bhi Parta Hai
Zara Sa Hosla Rakhna
Wo Saare Wisal Ke Lamhe
Tum Ankhon Mein Saja Rakhna
Abhi Imkaan Baqi Hai
Abhi Lab Per Dua Rakhna
Bohat Nayaab Hon Dekho
Mujhe Sab Se Juda Rakhna