Aaj Bahut Rona Aaya,
Zamaane Ki Chalaaki, Aur
Is Dil Ke Bholepan Par Rona Aaya,
Unki Pakeezgi Aur Apni Us,
Wahshiyat Par Rona Aaya,

Karte The Woh Kya Muhabbat,
Is Baat Par Rona Aaya, Kaise Masoom
Ban Kar Baithe Hain Woh,
Unke Isi Bholepan Par Rona Aaya.
Koft Hoti Hai Jis Zindagi Se,
Usi Ki Har Raat Par Rona Aaya,
Aye Khuda Teri Is
Jhoothi Kaaynaat Par Rona Aaya.
Jis Dil Ne Chaha Hai Unko Dil Se,
Us Dil Ke Haalaat Par Rona Aaya,
Apne Us Bewakoofi Bhare Jazbaat Par Rona Aya,
Unki Yeh Bebasi, Apni Taakat Ki
Saugat Par Rona Aaya,
Apni Khwahishon Ki Mayyat, Unke
Armaanon Ki Baraat Par Rona Aaya,
Badalte Hain Rang Haalaat Ke Sath,
Bus Isi Bemaani Si Baat Par Rona Aaya.

Dekhenge Ek Din, Jab Karenge Hum
Duniya Se Kooch,
Ki Kya Unhe Apne Us,
Khokhle Jazbaat Par Rona Aaya?