aj rutha huwa aik dost buhat yad aya

acha guzra huwa khuch waqt buhat yad aya

mari ankhon k har aik ashk per roone wala

aj jab ankh yeah rui tu buhat yad aya

ju mary dard ko senay main chupa lyta tha

aj jab dard hu mujh ko tu buhat yad aya

ju meri ankh mein rehta tha kajal ki terha

aj kajal ju lagaya tu buhat yad aya

ju mere dil k tha qareeb faqat usko hi

aj jab dil nay bhulaya tu buhat yad aya