us ne sukuut-e-shab main bhii apanaa payaam rakh diyaa

hijr kii raat baam par maah-e-tamaam rakh diyaa

aamad-e-dost kii naviid kuu-e-vafaa main aam thii

main ne bhii ik chiraaG-saa dil sar-e-shaam rakh diyaa

dekho ye mere Khvaab the dekho ye mere zaKhm hain

main ne to sab hisaab-e-jaan barsar-e-aam rakh diyaa

us ne nazar nazar main hii aise bhale suKhan kahe

main ne to us ke paanon main saaraa kalaam rakh diyaa

shiddat-e-tishnagii main bhii Gairat-e-maikashii rahii

us ne jo pher lii nazar main ne bhii jaam rakh diya

aur ‘Faraz’ chaahiiye kitanii muhabbatain tujhe

ke maaon ne tere naam par bachchon ka naam rakh diyaa