voh firaaq aur voh visaal kahaaN

voh shab-o-roz-o-maah-o-saal kahaaN

fursat-e-karobaar-e-shauq kise

zauq-e-nazaara-e-jamaal kahaaN

thii voh ek shaKhs ke tasavvur se

ab voh raanaaii-e-Khayaal kahaaN

aisaa aasaaN nahiiN lahuu ronaa

dil meN taaqat jigar meN haal kahaaN

fikr-e-duniyaa meN sar khapaataa huuN

maiN kahaaN aur yah vabaal kahaaN