ik hadsaa khyal ki surat badal gaya

duniya k khad-o-khal ki surat badal gaya

chehra shanas reh gaye apny ghumanD meiN,

wo aadmi kamaal ki surat badal gaya

sukhy huay shajar ko sabaa choomny lagi,

mosam mery malaal ki surat badal gaya

ham kaj adaa nahiN thy magar aap ka sulook,

ik jazba-e-mohaal ki surat badal gaya

ham aur hi khyaal meiN thy, aur fanaa ka hath,

her surat-e-wisaal ki surat badal gaya

ye waqt aik sab sy baRa haadsa hay jo,

kis kis na khush jamaal ki surat badal gaya,

ab us ki kaj adaei ki ham kya misal deiN,

jo apni hi misaal ki surat badal gaya..