GHAZAL

Wo talu-e-aftab se yaad ate hain aksar,

Un ki furqat mai hum dil jalate hain aksar,

Din guzar jata hai yadon mai unki,

Shaam hone se phir ashk bhate hain aksar,

Sara aalam raat ko so jata hai jab,

Guzre hue lamhat mujh ko state hain aksar,

Jab afsurda hota hai dil ka angan mera,

Geet ghamon k phir gungunate hain aksar,

Kabhi aate hain khwabon mai milne premi to,

Ankh khulne se pehle chor jate hain aksar.