Roodad-e-Qafas yaad,

na andaz-e-fughan yaad

Jo beet gai, beet gai,

ab wo kahan yad

Tum bhool gaye hm ko

to kya is me ta’ajub

Is dour me krta hy kisy,

kon, kahan yaad

Kafi thi tbahi k liey

gardish-e-dauran

TUM aisy me q

aa gaye ae

JAN-E-JAHAN yaad

Apny sy rqabat ka

ye alam hy k tauba

Hm bhool gaye khud ko,

WO aaye hen jahan yaad

Maazi k dreechy sy

kbi jhank k dekho

Shayed TUMHE aa jaye

mera naam-o-nishan yaad.