Agar Hussain (A.S) Chatay

Toa Dil Ki Ek Dharkan Mein Woh Aasman Ko Zameen Pe Bulatay

Agar Hussain (A.S) Chatay

Toa Ek Nazar Mein Woh Furaat Ko Apni Disha Mein Latay

Agar Hussain (A.S) Chatay

Toa Ek Aawaz Se Lashkar e Yazeed (L.A) Ko Mitti Se Milatay

Magar Us Hussain (A.S) Ki Shaan Kya

Jo Pani Ko Bhi Thukraye

Furaat Ko Bhi Tarsaye

Aur

Lashkar e Yazeed (L.A) Ko Bhi Haraye

Muqaam Hai Us Shaheed Ka

Jo Aaj Mar K Bhi Zinda Hai

Aur Lanat Hai Us Yazeed (L.A) Per

Jo Momin K Har Lafz Se Pal Pal Marta Hai